na mehrab-e-haram samjhe na jaane taq-e-but-khana
jahan dekhi tajalli ho gaya qurban parvana
dil-e-azad ko vahshat ne bakhsha hai vo kashana
ki ik dar janib-e-kaaba hai ik dar su-e-but-khana
bina-e-mai-kada daali jo tu ne pir-e-mai-khana
to kaaba hi raha kaaba na phir but-khana but-khana
kahan ka tuur mushtaq-e-laqa vo aankh paida kar
ki zarra zarra hai nazzara-gah-e-husn-e-janana
khuda puuri kare ye hasrat-e-didar ki hasrat
ki dekhun aur tire jalvon ko dekhun be-hijabana
shikast-e-tauba ki taqrib men jhuk jhuk ke milti hain
kabhi paimana shisha se kabhi shishe se paimana
saja kar lakht-e-dil se kashti-e-chashm-e-tamanna ko
chala huun bargah-e-ishq men le kar ye nazrana
kabhi jo parda-e-be-surati men jalva-farma the
unhin ko alam-e-surat men dekha be-hijabana
miri duniya badal di jumbish-e-abru-e-janan ne
ki apna hi raha apna na ab begana na begana
jala kar shama parvane ko saari umr roti hai
aur apni jaan de kar chain se sota hai parvana
kisi ki mahfil-e-ishrat men paiham daur chalte hain
kisi ki umr ka labrez hone ko hai paimana
hamari zindagi to mukhtasar si ik kahani thi
bhala ho maut ka jis ne bana rakkha hai afsana
ye lafz-e-salik-o-majzub ki hai sharh ai ‘bedam’
ki ik hoshyar-e-khatm-ul-mursalin aur ek divana
Leave a Reply