ghamon se yuun vo farar iḳhtiyar karta tha
faza men uḌte parinde shumar karta tha
bayan karta tha dariya ke paar ke qisse
ye aur baat vo dariya na paar karta tha
bichhaḌ ke ek hi basti men donon zinda hain
main us se ishq to vo mujh se pyaar karta tha
yunhi tha shahr ki shaḳhsiyyaton ko ranj us se
ki vo ziden bhi baḌi pur-vaqar karta tha
kal apni jaan ko din men bacha nahin paaya
vo aadmi ki jo aahaT pe vaar karta tha
vo jis ke sehn men koi gulab khil na saka
tamam shahr ke bachchon se pyaar karta tha
sadaqaten thiin miri bandagi men jab ‘az.har’
hifazaten miri parvardigar karta tha
Leave a Reply