• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wajh-E-Taskin-E-Junun Wasl-E-Nigaran Bhi Nahin

Wajh-E-Taskin-E-Junun Wasl-E-Nigaran Bhi Nahin

vaj.h-e-taskin-e-junun vasl-e-nigaran bhi nahin

ishq asan hai magar is qadar asan bhi nahin

har tajalli ke liye zarf-e-nazar hai darkar

jalva arzan hai magar is qadar arzan bhi nahin

jaane kya soch ke har raah men ruk jaata huun

us se milne ka kisi moḌ pe imkan bhi nahin

har nafas khinch raha hai koi rag rag se lahu

aur nashtar koi paivast-e-rag-e-jan bhi nahin

qafile hain ki guzarte hi chale jaate hain

manzilen hain ki kisi samt numayan bhi nahin

gul ka kya zikr ki ai dost mire daman par

ek muddat se kisi ḳhaar ka ehsan bhi nahin

kaun samjhega mire zarf-e-junun ki vus.at

main pareshan huun mira haal pareshan bhi nahin

tu ye ilzam mire zarf-e-junun par na tarash

ishq kafir bhi nahin ishq musalman bhi nahin

‘shor’ uTha duun main gul-o-lala ke parde lekin

yaan koi mahram-e-asrar-e-gulistan bhi nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Gumrahi Ka Meri Saman Hua Jata Hai

Dhup Mein Hum Hain Kabhi Hum Chhanw Mein

poet

Kal Kahan Bichaari Bulbul Aur Kahan Bechaara Gul

Nabz-E-Ayyam Tere Khoj Mein Chalna Chahe

Diwar-O-Dar Sa Chahiye Diwar-O-Dar Mujhe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet