hai koi ikhtiyar duniya par
na hamen e’tibar duniya par
apna dar-o-madar dil par hai
aap ka inhisar duniya par
jab jhada mera akhiri patta
aa chuki thi bahar duniya par
hamla-avar hava khuda khud bhi
is nahif-o-nazar duniya par
jab koi abr jhuum kar barsa
chha raha tha ghubar duniya par
daal rakkhi thi koi khud us ne
chadar-e-intizar duniya par
saara ilzam dhar diya kaisa
ham ne payan-e-kar duniya par
yuun tavaqqo hi bandhna thi ghalat
aisi na-paedar duniya par
ham pe duniya hui savar ‘zafar’
aur ham hain savar duniya par
Leave a Reply