log patthar ke the fariyad kahan tak karte
dil ke virane ham abad kahan tak karte
aḳhirash kar liya miTTi ke haram men qayam
ḳhud ko ham ḳhanaman-barbad kahan tak karte
ek zindan-e-mohabbat men hue ham bhi asiir
ḳhud ko har qaid se azad kahan tak karte
ḳhud pe mauquf kiya us ka faqat dars-e-visal
har na.e dars ko ham yaad kahan tak karte
kar liya ek bayaban ko musaḳhḳhar ham ne
roz tasvir ko ijad kahan tak karte
log ḳhamosh the isbat o nafi ke mabain
aise mahaul men irshad kahan tak karte
har vajud apne liye ek savali tha ‘taraz’
ḳhud ko ham ma.il-e-ab.ad kahan tak karte
Leave a Reply