bahut hua to miri mohabbat tiri gali tak safar karegi
gulab jaisi hikayaton ko idhar udhar mo’atabar karegi
ye teri ankhon ki sub.h-e-ḳhandan ye teri zulfon ki sham-e-imkan
ba-juz qayamat ye kuchh nahin hai tabah ye sar-basar karegi
ufaq ufaq intiḳhab-e-janan taraf taraf rang-o-bu-e-ḳhuban
ik aise aalam men shab hamari charagh le kar sahar karegi
hamin hain vamanda-e-dil-o-jan hamin hain taqrib-e-dil ka saman
hamare raste men dasht-o-sahra ki be-nava.i bhi ghar karegi
idhar nasheb-e-adam se nikle udhar faraz-e-adam men Duube
hamen ye duniya firaq de kar kise bahisht-e-nazar karegi
ye shahr-e-gul-e-barg ki hava bhi hamare haq men sumum Thahri
ghazal hamen itna yaad rakhna ye jitna sarf-e-nazar karegi
Leave a Reply