us ka lahja kitab jaisa hai
aur vo ḳhud gulab jaisa hai
dhuup ho chandni ho barish ho
ek chehra ki ḳhvab jaisa hai
be-hunar shohraton ke jangal men
sang bhi aftab jaisa hai
bhuul jaoge ḳhal-o-ḳhad apne
aa.ina bhi sarab jaisa hai
vasl ke rang bhi badalte the
hijr bhi inqalab jaisa hai
yaad rakhna bhi tujh ko sahl na tha
bhulna bhi azaab jaisa hai
be-sitara hai asman tujh bin
aur samundar sarab jaisa hai
Leave a Reply