• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Auj-E-Maqam-E-Dost Pe Apna Guzar Kahan

Auj-E-Maqam-E-Dost Pe Apna Guzar Kahan

auj-e-maqam-e-dost pe apna guzar kahan

shayan-e-sidrah ta.ir-e-be-bal-o-par kahan

tu hai ḳhayal men to hai ara.ish-e-ḳhayal

tu hi na ho nazar men to zauq-e-nazar kahan

dekho jise vo mast-e-mai-e-kibr-o-naz hai

duniya bahut ḳharab hai jaa.en magar kahan

hai ibtida-e-sham se zulmat ka safar

hoti hai dekhiye shab-e-gham ki sahar kahan

taqdir men hai us ki fishar-e-lahad vahi

tadbir se uḌa bhi to pahuncha bashar kahan

is be-ḳhudi men kis ko hai parva ma.aal ki

maujud mubtada hi na ho to ḳhabar kahan

‘mahrum’ kya hi ḳhuub hai ‘hali’ ki vo ghazal

tujh se jahan men laakh sahi tu magar kahan

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wo Mera Dost Hai Aur Mujhse Wasta Bhi Nahin

Sochta Bolta Ek Naya Aadmi

poet

Na Parda Kholiyo Ai Ishq Gham Mein Tu Mera

ameer-minai

Kaha Jo Maine Ki Yusuf Ko Ye Hijab Na Tha

Sufi

Ye Tan Ghira Hua Chhote Se Ghar Mein Rahta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet