basti basti parbat parbat gaata jaae banjara
le kar dil ka ik taara
pal-do-pal ka saath hamara pal-do-pal ki yaari
aaj ruke to kal karni hai chalne ki tayyari
qadam qadam par honi baithi apna jaal bichhae
is jivan ki raah men jaane kaun kahan rah jaae
dhan daulat ke pichhe kyuun hai ye duniya divani
yahan ki daulat yahin rahegi saath nahin ye jaani
sone chandi men tulta ho jahan dilon ka pyaar
aansu bhi be-kar vahan par aahen bhi be-kar
duniya ke bazar men akhir chahat bhi bevpar bani
mere dil se un ke dil tak chandi ki divar bani
ham jaison ke bhaag men likkha chahat ka vardan nahin
jis ne ham ko janm diya vo patthar hai bhagvan nahin
basti basti parbat parbat gaata jaae banjara
Leave a Reply