mera shahid vo hamen ayyar aata hai nazar
ham ko ham paate nahin jab yaar aata hai nazar
kasrat-e-shauq-e-mohabbat men mujhe har tarah se
jis taraf dekhun rukh-e-dil-dar aata hai nazar
jaan ka dhoka hamen hota hai rah-e-ishq men
marg ka har ek dam asar aata hai nazar
dagh-e-hijran ke siva laaya na ku-e-yar se
jo koi is raah ka bimar aata hai nazar
pa-barahna siina biryan hai tan-e-uryan vahi
jo ki us ka ashiq-e-sarshar aata hai nazar
raah se dair-o-haram ki hai jo ku-e-yar men
hai vahi din-dar gar kuffar aata hai nazar
baad muddat gardish-e-tasbih se ‘miskin’ hamen
dana-e-tasbih men zunnar aata hai nazar
Leave a Reply