kis ki mahfil se uTh ke aaya huun
apne ghar men huun aur tanha huun
tu miri zindagi ki shaam na ban
main tiri sub.h ka ujala huun
chand men bastiyan basa lena
mujh ko DhunDho ki main bhi duniya huun
jan-e-imroz raunaq-e-farda
koi samjhe mujhe to kya kya huun
kaise jhuTla.egi mujhe duniya
main ki halat ka taqaza huun
meri ḳhushbu se bas rahe hain chaman
main har ik shaḳh-e-gul se paida huun
ye jahan mazra-e-tamanna hai
aur main hasil-e-tamanna huun
Leave a Reply