choT kha kar jo muskurate hain
har bala se najat paate hain
tere bande ḳhuda nahin bante
dusron ko ḳhuda banate hain
maut se jo vafa nahin karte
zindagi se shikast khate hain
vo harif-e-nazar kabhi na hue
aa.ine hain ki TuuTe jaate hain
ham kisi ka gila nahin karte
vaqt ki aabru baḌhate hain
hadson se farar kya ma.ani
hadse zindagi banate hain
ham ki apni taraf na dekh sake
log un se nazar milate hain
vaqt ki raushni pe naaz na kar
vaqt ke ruḳh badal bhi jaate hain
zikr-e-ilm-o-adab na chheḌ ‘anjum’
hazrat-e-‘fauq’ yaad aate hain
Leave a Reply