zahar deta hai koi koi dava deta hai
jo bhi milta hai mira dard baḌha deta hai
kisi hamdam ka sar-e-sham ḳhayal aa jaana
niind jalti hui ankhon ki uḌa deta hai
pyaas itni hai meri ruuh ki gahra.i men
ashk girta hai to daman ko jala deta hai
kis ne maazi ke darichon se pukara hai mujhe
kaun bhuli hui rahon se sada deta hai
vaqt hi dard ke kanTon pe sula.e dil ko
vaqt hi dard ka ehsas miTa deta hai
‘naqsh’ rone se tasalli kabhi ho jaati thi
ab tabassum mire honTon ko jala deta hai
Leave a Reply