nichi nazron se na dekho sar-e-mahshar dekho
dad-khvahon ki taraf aankh utha kar dekho
ho ke shamshir-ba-kaf sair ghadi bahr dekho
marne valon ki vafa tegh ke jauhar dekho
aah kaisi kabhi shikva bhi tumhara na kiya
aaise ham zabt-e-mohabbat ke hain khugar dekho
vaada-e-hashr hai parda bhi zamane bhar se
koi daman na pakad le sar-e-mahshar dekho
un ko dushman se jo ulfat hai to parva na karo
ai ‘rasa’ tum bhi kisi aur pe mar kar dekho
Leave a Reply