zinda hon is jahan men aḳhir koi javaz
in bastiyon ka ḳhvab jo ab tak basin nahin
tum shoḳh ho to pyaar bhi mera sharir hai
haan haan mire liye hai tumhari nahin nahin
dil ho ki sar yahan to sarapa-e-dard hain
aisa nahin ki dard kahin hai kahin nahin
elan-e-haq-shi.ar bhi hai phir gila bhi hai
nafrin har kahin hai kahin afrin nahin
ki umr ne vafa to inhon ne vafa na ki
dil men jo arzuen kabhi thiin rahin nahin
paspa.i pahle hi tira maqsum hai agar
tujh ko masaf-e-zist men ye angbin nahin
qariyon ke satr-posh junun ko salam-e-shauq
daman nahin hai jeb nahin astin nahin
in dostan men mashk-faroshan men mast huun
ḳhalvat men aa ke bhi jo mire aib-chin nahin
Leave a Reply