ajiib chhaya hai khauf-o-hiras ankhon men
tumhara dard nahin hai udaas ankhon men
tamam dasht pe taari hai vajd ka aalam
junun ka raqs sitara-shanas ankhon men
gae zamanon se rishta mira nahin tuuta
adhure khvabon ki rakkhi hai baas ankhon men
har ek chehre se aisa dhuan nahin uthta
ye khaas raushni hoti hai khaas ankhon men
ye kaisa khvab saja hai ‘rabab’ kuchh din se
ki kam nahin kabhi hoti mithas ankhon men
Leave a Reply