kisi se ishq karna aur is ko ba-khabar karna
hai apne matlab-e-dushvar ko dushvar-tar karna
nahin hai maut par kuchh ikhtiyar ai va-e-majburi
ummid-e-marg men mushkil basar karna magar karna
jo par the maya-e-parvaz men vaj.h-e-giranbari
ghurur-e-bal-o-par karna to mujh ko dekh kar karna
jafa kar shauq se tu zabt par mere na ja hargiz
shikayat kya mujhe ye kaam hai jab umr bhar karna
jafa un ki vafa-parvar vafa meri jafa-parvar
vo un ko umr-bhar karna ye mujh ko umr-bhar karna
sar-e-rah puchhte hain haal kya kahiye ki mushkil hai
bayan-e-dard-e-dil karna aur is ko mukhtasar karna
tavajjoh chara-gar ki bais-e-taklif hai ‘bekhud’
izafa hai musibat men davaon ka asar karna
Leave a Reply