hai bad bala kisi ko gham-e-javedan na ho
ya ham na hon jahan men khuda ya jahan na ho
ain-e-ahl-e-ishq kahan aur ham kahan
ai aah shola-bar na ho khun-chakan na ho
fel-e-hakim ain salah o savab hai
saaqi agar sharab na de sargiran na ho
tadbir tark-e-dushman-e-jan ki hai raat din
kis tarah phir mujhe gila-e-dostan na ho
kya vo mata’a jis ki na ho koi ghaat men
darta huun main jo duzd pas-e-karvan na ho
jab tak farogh-e-mai se na ho siina nur-zar
hargiz harif-e-mai-kada asrar-dan na ho
lazim hai yaar bhi to ho betab varna kya
vo ishq hai ki ranj yahan ho vahan na ho
nahaq vo ji jalate hain sauda-e-ishq par
jin ko ye soch hai ki kuchh is men ziyan na ho
ham bu-e-dost tujh ko sunghaenge ‘shefta’
mahv-e-shamim turra-e-ambar-fishan na ho
Leave a Reply