• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zakhmon Ka do-Shaala Pahna dhup Ko Sar Par Tan Liya

Zakhmon Ka do-Shaala Pahna dhup Ko Sar Par Tan Liya

etibar-sajid

zakhmon ka do-shala pahna dhuup ko sar par taan liya

kya kya ham ne khasht kamae kahan kahan nirvan liya

naqsh diye tiri ashaon ko aks diye tire sapnon ko

lekin dekh hamari halat vaqt ne kya tavan liya

ashkon men ham gundh chuke the us ke lams ki khushbu ko

mom ke phuul banane baithe lekin dhuup ne aan liya

barson baad hamen dekha to pahron us ne baat na ki

kuchh to gard-e-safar se bhanpa kuchh ankhon se jaan liya

aankh pe haat dhare phirte the lekin shahr ke logon ne

us ki baten chhed ke ham ko lahje se pahchan liya

suraj suraj khel rahe the ‘sajid’ ham kal us ke saath

ik ik qaus-e-quzah se guzre ik ik badal chhan liya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHauf Warna to Kis Ke Bas Ka Hai

afeef-siraj

A Bulbul-e-Khush-Lahn Ye Shirin Sukhani dekh

Dhup Mein Saya Bane Tanha khaDe Hote Hain

Mujh Mein Kisi Ka Aks Na Partaw Khaali Aaina Hun Main

Ta-Hadd-E-Nazar Koi Bhi Dam-Saz Nahin Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet