agarche sab yahan sasta paḌega
tumhen bas ishq hi mahnga paḌega
musavvir se ulajhne ki saza hai
hamen tasvir men rahna paḌega
miri ankhon men tum bach kar utarna
yahan ashkon ka ik dariya paḌega
sabhi kirdar gar rakhne hain zinda
kahani men hamen marna paḌega
tumhen bhi achchhe ham lagne lage hain
suno tum ko bhi pachhtana paḌega
ghaḌi sach bolne ki aa ga.i hai
hamen danista haklana paḌega
charas se bachne ko tum kah rahe ho
yaqinan ishq se bachna paḌega
Leave a Reply