main andheron ke nagar se bhi guzar aaya to kya
bujh ga.iin ankhen miri vo ab nazar aaya to kya
kho ga.e din ke ujalon men mire ḳhvabon ke chand
arsh se ab chand bhi koi utar aaya to kya
main to ik gahre samundar men utar jaane ko huun
tu ḳhiraj-e-ashk le kar ab agar aaya to kya
ghar se aane vaale tiron ka nishana ban gaya
main muqabil ghair ke sina-sipar aaya to kya
ye dar-o-divar bhi ab to nahin pahchante
main safar se lauT kar bhi apne ghar aaya to kya
bah ga.e sailab ke dharon men jab saare makin
ab tujhe ‘akram’ ḳhayal-e-bam-o-dar aaya to kya
Leave a Reply