hamen dekha na kar uḌti nazar se
umidon ke nikal aate hain par se
ab un ki raakh palkon par jami hai
ghaḌi bhar ḳhvab chamke the sharar se
bachane men lagi hai ḳhalq mujh ko
main zaa.e.a ho raha huun is hunar se
vo lahja-ha-e-dariya-e-suḳhan men
musalsal bante rahte hain bhanvar se
samundar hai koi ankhon men shayad
kinaron par chamakte hain guhar se
tavaqqo hai unhen us abr se jo
dikha.i de idhar us or barse
zara imkan kya dekha nami ka
nikal aa.e shajar divar-o-dar se
raqam dil par hua kya kya na puchho
bayan hona hai ye qissa nazar se
sambhalte hi nahin ham se ‘bakul’ ab
bache hain din yahan jo muḳhtasar se
Leave a Reply