tumhari muntazir yuun to hazaron ghar banati huun
vo rasta bante jaate hain kuchh itne dar banati huun
jo saara din mire khvabon ko reza reza karte hain
main un lamhon ko si kar raat ka bistar banati huun
hamare daur men raqqasa ke paanv nahin hote
adhure jism likhti huun khamida sar banati huun
samundar aur sahil pyaas ki zinda alamat hain
unhen main tishnagi ki had ko bhi chhu kar banati huun
main jazbon se takhayyul ko nirali vusaten de kar
kabhi dharti bichhati huun kabhi ambar banati huun
mire jazbon ko ye lafzon ki bandish maar deti hai
kisi se kya kahun kya zaat ke andar banati huun
Leave a Reply