yahi ik nibah ki shakl hai vo jafa karen main vafa karun
agar is pe bhi na nibhi to phir mire kirdgar main kya karun
hai mohabbat aisi bandhi girah jo na ek haath se khul sake
koi ahd toḌe kare dagha mira farz hai ki vafa karun
main hazar baton men ek bhi kabhi un se khul ke na kah saka
agar ek tarah ki baat ho to hazar tarah ada karun
jo hansa to surat-e-zaḳhm-e-dil ki lahu ke qatre Tapak paḌe
main sitam-rasida huun ‘arzu’ na baha.un ashk to kya karun
Leave a Reply