• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Hamari Ruh Ka Naghma Kahan Hai?

Hamari Ruh Ka Naghma Kahan Hai?

sajida-zaidi

vo dard-e-arzu

jo larza-bar-andam tha pahnae aalam men

vo harf-e-tishnagi

jo naghma-bar-lab tha dabistan-e-shab-e-gham men

vo ik duniya-e-na-paida-karaan thi

asman ki vusaten jis men samai thiin

bade gahre samundar maujzan the kurra-e-dil men

jinhen ik justaju-e-kham ne khamosh kar daala

bahut munh zor maujen thiin

jinhen khud ham ne paband-e-salasil kar diya ik din

faraz-e-koh se aate hue betab dariya the

jinhen ik daere men raqs karna ham ne sikhlaya

taqaze hosh-mandi ke hamare rahbar nikle

faraze-e-arzu se ham

nasheb-e-afiyat men aan nikle

aur maal-e-roz-o-shab ke besh o kam men gum hue

apni matta-e-khud-nigahi chhod aae

ik sukut-e-ahni hamrah le aae

mudava-e-alam koi nahin

bazm-e-nashat o dard-e-gham koi nahin

ik hu ka aalam hai

khade hain sahil-e-hasti pe ham

jiine ke be-payan bahane chhod aae

ik sukut-e-ahni hamrah le aae

hamari yaad ke kashkol khali hain

hamari ruuh ka naghma kahan hai?

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Koi Nahin Hai Dekhne Wala to Kya Hua

Aankh Chura Kar Nikal Gae Hushyari Ki

Sirf Ek Hadd-E-Nazar Ko Aasman Samjha Tha Main

Sufi

Jabin-e-Shauq Ko Kuchh Aur Bhi Izn-e-Saadat de

shakeela-bano

dast-E-Qatil Mein Ye Shamshir Kahan Se Aai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet