• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Id

Id

nazeer-akbarabadi

yuun lab se apne nikle hai ab bar-bar aah

karta hai jis tarah ki dil-e-be-qarar aah

ham iid ke bhi din rahe ummid-var aah

ho ji men apne iid ki farhat se shad-kam

khuban se apne apne liye sab ne dil ke kaam

dil khol khol sab mile aapas men khaas o aam

aghosh-e-khalq gul-badanon se bhare tamam

khali raha par ek hamara kanar aah

kya puchhte ho shokh se milne ki ab khabar

kitna hi justuju men phire ham idhar idhar

lekin mila na ham se vo ayyar fitnagar

milna to ik taraf hai azizo ki bhar-nazar

poshak ki bhi ham ne na dekhi bahar aah

rakhte the ham umiid ye dil men ki iid ko

kya kya gale lagavenge dil-bar ko shaad ho

so tu vo aaj bhi na mila shokh-e-hila-ju

thi aas iid ki so gai vo bhi dosto

ab dekhen kya kare dil-e-ummid-var aah

us sang-dil ki ham ne gharaz jab se chaah ki

dekha na apne dil ko kabhi ek dam khushi

kuchh ab hi us ki jaur-o-taaddi nahin nai

har iid men hamen to sada yaas hi rahi

kafir kabhi na ham se hua ham-kanar aah

iqrar ham se tha kai din aage iid se

yaani ki id-gah ko javenge tum ko le

akhir ko ham ko chhod gae saath aur ke

ham haath malte rah gae aur raah dekhte

kya kya gharaz saha sitam-e-intizar aah

kyuun kar lagen na dil men mire hasraton ke tiir

din iid ke bhi mujh se hua vo kanara-gir

is dard ko vo samjhe jo ho ishq ka asiir

jis iid men ki yaar se milna na ho ‘nazir’

us ke upar to haif hai aur sad-hazar aah

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Waqt-E-ruKHsat Wo Aansu Bahane Lage

Phir Sar Pe Sham Aa Gai Main Raste Mein Hun

jaun-eliya

Bada Ehsan Hum Farma Rahe Hain

shaista-mufti

Kanch Ki Gudiya

Juz-Nihaal-E-Arzu Sine Mein Kya Rakhta Hun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet