aaya hai khayal-e-be-vafai
kyuun ji vahi guftugu phir aai
o but na sunega koi meri
kya teri hi ho gai khudai
roko roko zaban roko
dene na lago kahin duhai
sahra men hui guhar-fishani
kaam aai miri barahna-pai
chaha lekin na bach sake ham
akhir tegh-e-nigah khaai
toda kanton ne ablon ko
barbad hui miri kamai
bosa ham aaj mangte hain
karte hain qismat-azmai
tauba-shikani shabab men kar
kab tak ai jan-e-parsai
kaata din to tadap tadap kar
aafat ki raat sar par aai
rukhsat hai ‘nasim’ jald dekho
kar lo gar ho sake bhalai
Leave a Reply