shauq-e-didar mira aur bhi afza na karen
mehrban samne aa.en zara parda na karen
vo to kuchh ho hi ga.i tum se mohabbat varna
ham vo ḳhud-sar hain ki apni bhi tamanna na karen
phir na ho jaa.en kahin dil men tamanna.en javan
ghaur se itna hamen aap to dekha na karen
aap ke tarz-e-inayat se samajh ja.enge
barsar-e-bazm hamen aap yuun rusva na karen
hurmat-e-ishq salamat rahe dekhen apne
jazba-e-dil ka kisi haal men sauda na karen
ham bhi bah jaa.en na jazbat ke dhare men kahin
husn ko apne kisi taur huvaida na karen
TuuT bhi sakte hain ‘zaryab’ ye nazuk rishte
samne us ke kabhi shikva-e-beja na karen
Leave a Reply