vahi azaab vahi aasra bhi jiine ka
vo mera dil hi nahin zaḳhm bhi hai siine ka
main be-libas hi shishe ke ghar men rahta huun
mujhe bhi shauq hai apni tarah se jiine ka
vo dekh chand ki pur-nur kahkashaon men
tamam rang hai ḳhurshid ke pasine ka
main pur-ḳhulus huun phagun ki dopahar ki tarah
tira mizaj lage puus ke mahine ka
samundaron ke safar men sambhal kar rakhna
kisi kuen se jo paani mila hai piine ka
‘mayank’ aankh men sailab uTh na paa.e kabhi
ki ek ashk musafir hai is safine ka
Leave a Reply