ab darmiyan koi bhi shikayat nahin bachi
ya.ani qarib aane ki surat nahin bachi
ab aur koi sadma nahin jhel sakta main
ab aur meri ankhon men hairat nahin bachi
ḳhamoshiyon ne apna asar kar diya shurua
ab rishte ko sada ki zarurat nahin bachi
har samt sirf baat mohabbat ki hai ravan
ya.ani jahan men aaj mohabbat nahin bachi
fursat ke vaqt ishq se mahrum main raha
phir aisa vaqt aaya ki fursat nahin bachi
Leave a Reply