kar ke shikayat-e-gham-e-halat mat ganva
barson ke baa’d ki ye mulaqat mat ganva
irfan-e-ka.enat bhi iz.har-e-zat hai
ai be-shu.ur apne mafadat mat ganva
mauqa mila tujhe to laga tu bhi qahqahe
haath aa.e hain jo sukh ke ye lamhat mat ganva
daftar ke baa’d bhi vahi daftar ka tazkira
din to ganva diya hai magar raat mat ganva
mausam ka ḳhaak lutf hai kamre men baiTh kar
ghar se nikal ke dekh ye barsat mat ganva
Leave a Reply