ki mai se hazar baar tauba
rahti nahin barqarar tauba
tum mai se karo hazar baar tauba
tum se ye nibhe qarar tauba
bandon ko gunah tabah karte
hoti na jo gham-gusar tauba
hoti hai bahar men muattal
karte hain jo mai-gusar tauba
maqbul ho kyuun na gar karen ham
ba-dida-e-ashk-bar tauba
hogi kabhi ‘mashriqi’ na qubul
piiri men karo hazar tauba
Leave a Reply