ishq men kaun kamyab hua
ishq jis ne kiya ḳharab hua
dekhna hongi raḳhna-gar nazren
mane-e-did agar naqab hua
rabt-e-baham ne kar diya mushkil
us ka main vo mira javab hua
jal gaya tuur ghash hue muusa
jab tira husn be-naqab hua
dekh kar aap mere ashkon ki
paani paani dur-e-ḳhush-ab hua
aa.i piiri ga.iin umangen sab
ḳhatm afsana-e-shabab hua
jab chale chaal vo qayamat ki
uTh ke fitna bhi ham-rikab hua
is qadar ḳhugar-e-karam huun main
mehr samjha agar itaab hua
lafz kun ka tha muḳhtasar sa lafz
dar-haqiqat ye ik kitab hua
bahr-e-alam men sab hain dam-bhar ke
gham hue main hua habab hua
ab kahan raten aish ki ‘sabir’
vo zamana ḳhayal-o-ḳhvab hua
Leave a Reply