• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Ajnabi Aurat

Ajnabi Aurat

noon-meem-rashid

asia ke dur-uftada shabistanon men bhi

mere khvabon ka koi ruman nahin!

kaash ik divar-e-zulm

mere un ke darmiyan haail na ho!

ye imarat-e-qadim

ye khayaban, ye chaman, ye lala-zar,

chandni men nauha-khvan

ajnabi ke dast-e-gharat-gar se hain

zindagi ke in nihan-khanon men bhi

mere khvabon ka koi ruman nahin!

kaash ik ”divar-e-rang”

mere un ke darmiyan haael na ho!

ye siyah-paikar barahna rah-rau

ye gharon men khub-surat auraton ka zahr-e-khand

ye guzargahon pe dev-asa javan

jin ki ankhon men gurisna arzuon ki lapak

mushtail be-bak mazduron ka sailab-e-azim!

arz-e-mashriq, ek mubham khauf se larzan huun main

aaj ham ko jin tamannaon ki hurmat ke sabab

dushmanon ka samna maghrib ke maidanon men hai

un ka mashriq men nishan tak bhi nahin!

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

najm-aafandi

Mohabbat Ki Wo Aahat Pa Na Jae

Koi Surat Kitab Se Nikle

poet

Jaur-E-Aflak Bas-Ki Jhele Hain

Jaise Koi Rabt Nahin Ho Jaise Hon Anjaane Log

Waqt Ke Hathon Hikayat-E-Ana Bhul Gae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet