haath men aftab pighla kar
raat bhar raushni se khela kar
yuun khule sar na ghar se nikla kar
dekh budhon ki baat maana kar
aaina aine men kya dekhe
tuut jaate hain khvab takra kar
ek dam yuun uchhal nahin padte
baat ke paintare bhi samjha kar
dekh thokar bane na tariki
koi soya hai paanv phaila kar
uunt jaane kidhar nikal bhaga
jalte sahra men ham ko thahra kar
Leave a Reply