ye dastak aur ye dar mera nahin hai
ab is basti men ghar mera nahin
safar hai aur hi darpesh mujh ko
ye musht-e-ḳhak ghar mera nahin hai
main kis barud men bikhri paḌi huun
ye dhaḌ mera hai sar mera nahin hai
mujhe mere havale kar gaya hai
to kya hai vo agar mera nahin hai
ye kis angan men jhukta ja raha hai
shajar mera hai ghar mera nahin hai
safar hai ḳhvab men sahra-e-jan ka
magar vo ham-safar mera nahin hai
main kyon us ki kahani ban ga.i huun
agar vo harf-gar mera nahin hai
ajab si aanch dil tak aa rahi hai
ye shorida sharar mera nahin hai
shab-e-sajda jabin par jam gaya kya
ye dagh-e-ishq gar mera nahin hai
urus-e-sham roti phir rahi hai
ye aansu chashm-e-tar mera nahin hai
jo mere saath chalta ja raha hai
vo saaya hai magar mera nahin hai
‘sahar’ ye aur hi duniya hai koi
yahan koi bhi Dar mera nahin hai
Leave a Reply