hamara aa.ina be-kar ho gaya to phir!
tumhara husn trahdar ho gaya to phir!
mila ke ḳhaak men vo sochta raha barson
main aa.ine men numudar ho gaya to phir!
rukavaTen to safar ka javaz hoti hain
ye rasta kahin hamvar ho gaya to phir!
vo mahtab hai, main jhiil aur safar darpesh
vo mujh se hota hua paar ho gaya to phir,
tamam shahr ne lauTa diya hai ḳhali haath
aur us ke dar se bhi inkar ho gaya to phir!
to kyuun na rasta tabdil kar liya jaa.e
kahin jo mujh se tumhen pyaar ho gaya to phir!
Leave a Reply