ochhi thi nazar hi jab to bhala arman-e-tamasha kya karte
zarre ke jigar tak ja na sake ham himmat-e-sahra kya karte
raat us ne naqab ulTi jo zara sab band ta.ayyun TuuT ga.e
vo vo na raha ham ham na rahe ai shauq-e-tamasha kya karte
be-kaif hamara jiina tha be-mai ka saghar piina tha
us dil men tamanna hi na ugi ham tark-e-tamanna kya karte
tum ne hi chaman ko luuT liya tum ne hi nasheman phunk diya
ham shukr ki himmat kar na sake sharma ga.e shikva kiya karte
Leave a Reply