mal-e-duniya talash karna hai
ya.ani rutba talash karna hai
aaj insan ko tapte sahra men
bahta dariya talash karna hai
to kunvari hai kab se ai duniya
tera rishta talash karna hai
ab charaghon ki lau nahin manzur
yad-e-baiza talash karna hai
dushmani pyaar se bhi kuchh achchha
darmiyana talash karna hai
kar chuke sair ham samundar ki
ab kinara talash karna hai
mujh ko phir se kitab-e-mazi men
tera chehra talash karna hai
‘abr’ duniya ko chhoḌ jaane ka
ik bahana talash karna hai
Leave a Reply