main hi main bikhra hua huun rah-ta-manzil tamam
ḳhak-dan ta-asman chhaya hai mustaqbil tamam
pi chuki kitni hi maujon ka lahu sahil ki ret
lashen hi lashen nazar aa.iin sar-e-sahil tamam
ghar ko din bhar ki mata-e-rah-navardi saunp di
sa.i-e-paiham ka ghubar-e-shahr tha hasil tamam
dekhna sab ne uTha rakkhi hai kandhon par salib
bhes men maqtul ke ru-posh hain qatil tamam
mahtab ubhra bhi to jaane kahan Duuba ki raat
kar diya maujon ne chhalni sina-e-sahil tamam
Leave a Reply