lahakti lahron men jaan hai kinare zinda hain
vajud-e-ab ke sab isti.are zinda hain
vo hijraton ki hikayat tumhen suna.enge
jinhon ne sar se ye tufan guzare zinda hain
hamare karb kitabon men hain abhi mahfuz
vo saare safhe vo sab goshvare zinda hain
azal se jabr o sadaqat ki jang jaari hai
abhi talak nahin mazlum haare zinda hain
majalis-e-sitam-ijad ka nishan nahin
mohabbaton ke abhi tak idare zinda hain
jo tere gham men jale hain vo phir bujhe hi nahin
jab in ki raakh kuredo sharare zinda hain
abhi tumhare taḌapne ke din nahin aa.e
abhi to ḳhair se ḳhadim tumhare zinda hain
ham apne jiine ka ab kya javaz pesh karen
ki ab na ham na zamane hamare zinda hain
har ek shaḳhs ko is baat ka shu.ur nahin
jo ‘ram’ haq pe mare hain vo saare zinda hain
Leave a Reply