nazzara jo hota hai lab-e-bam tumhara
duniya men uchhalta hai bahut naam tumhara
darban hai na hai ghair-e-bad-anjam tumhara
kaam aaega aḳhir yahi nakam tumhara
dushnam suno de ke dil ai husn-paraston
ye kaam tumhara hai vo in.aam tumhara
aghaz-e-mohabbat hai ho ḳhush hazrat-e-dil kya
achchha nazar aata nahin anjam tumhara
‘ahsan’ ki tabi.at se abhi tum nahin vaqif
hai dil se dua-go sahar o shaam tumhara
Leave a Reply