jo tere shahr se main dar-ba-dar nahin hota
to mera ishq kabhi mo’atabar nahin hota
ye arsh-o-farsh tiri muTThiyon men hote band
tu apne haal se gar be-ḳhabar nahin hota
maza to jab hai mire saath saath tu bhi chal
rah-e-vafa men akele safar nahin hota
rah-e-hayat men aisa bhi moḌ aata hai
sharik-e-hal koi ham-safar nahin hota
tamam umr nafas se jihad karna hai
do-char din men to koi bashar nahin hota
isi liye to bayaban men mera maskan hai
harif-e-va.ada-shikan janvar nahin hota
zarur koi kami hai ‘niyaz’ jab hi to
jo iztirab idhar hai udhar nahin hota
Leave a Reply