in ghazalan-e-tarah-dar ko kaise chhoḌun
jalva-e-vadi-e-tatar ko kaise chhoḌun
dard-agin hi sahi barbat-e-pas-manzar-e-bazm
nashsha-e-ha-e-lab-o-ruḳhsar ko kaise chhoḌun
ai taqaza-e-gham-e-dahr main kaise aa.uun
lazzat-e-dard gham-e-yar ko kaise chhoḌun
main ḳhizan men bhi parastar raha huun us ka
mausam-e-gul men chaman-zar ko kaise chhoḌun
ai mire ghar ki fazaon se gurezan mahtab
apne ghar ke dar-o-divar ko kaise chhoḌun
haa.e dard-e-dil-e-bezar ki hangam-e-ḳhumar
dost kahte hain ki mai-ḳhvar ko kaise chhoḌun
aaj to sham.a havaon se ye kahti hai ‘salam’
raat bhari hai main bimar ko kaise chhoḌun
Leave a Reply