badan ki raakh se raushan sharara kar ke dekhunga
main apni jaan ko ab ke sitara kar ke dekhunga
vo tanha justuju bechain si rahti hai ankhon men
qayamat aa bhi jaa.e to gavara kar ke dekhunga
qaza aksar mire kuche se be-parda guzarti hai
use bhi khelte hanste ishara kar ke dekhunga
ye socha hai lab-e-larzan pe rakh kar tishnagi saari
tujhe bhi ai samundar isti.ara kar ke dekhunga
na chhat hogi na dar hoga na sahn-e-yar ka gosha
main shahr-e-afiyat men yuun guzara kar ke dekhunga
badan kashti bhanvar ḳhvahish irada badban jaisa
junun-dariya chalo ḳhud ko kinara kar ke dekhunga
safar men ḳhair-o-shar ke ba.ad vo manzil bhi aa.egi
jahan ‘ḳhurshid’ apna goshvara kar ke dekhunga
Leave a Reply