abhi zamir men thoḌi si jaan baaqi hai
abhi hamara koi imtihan baaqi hai
hamare ghar ko to ujḌe hue zamana hua
magar suna hai abhi vo makan baaqi hai
hamari un se jo thi guftugu vo ḳhatm hui
magar sukut sa kuchh darmiyan baaqi hai
hamare zehn ki basti men aag aisi lagi
ki jo tha ḳhaak hua ik dukan baaqi hai
vo zaḳhm bhar gaya arsa hua magar ab tak
zara sa dard zara sa nishan baaqi hai
zara si baat jo phaili to dastan bani
vo baat ḳhatm hui dastan baaqi hai
ab aaya tiir chalane ka fan to kya aaya
hamare haath men ḳhali kaman baaqi hai
Leave a Reply