zindagi ke saare mausam aa ke rukhsat ho gae
meri ankhon men kahin barsat baaqi rah gai
aas ka suraj to saari zindagi nikla magar
din ke andar jaane kaise raat baaqi rah gai
aina-khana bana ke jis ne toda tha mujhe
meri kirchon men usi ki zaat baaqi rah gai
mera ik ik lafz mujh se chhin kar vo le gaya
jis ke karan aaj tak vo baat baaqi rah gai
Leave a Reply