dil pareshan hua jaata hai
aur saman hua jaata hai
khidmat-e-pir-e-mughan kar zahid
tu ab insan hua jaata hai
maut se pahle mujhe qatl karo
us ka ehsan hua jaata hai
lazzat-e-ishq ilahi mit jaae
dard arman hua jaata hai
dam zara lo ki mira dam tum par
abhi qurban hua jaata hai
girya kya zabt karun ai naseh
ashk paiman hua jaata hai
bevafai se bhi rafta rafta
vo miri jaan hua jaata hai
arsa-e-hashr men vo aa pahunche
saaf maidan hua jaata hai
madad ai himmat-e-dushvar-pasand
kaam asan hua jaata hai
chhai jaati hai ye vahshat kaisi
ghar bayaban hua jaata hai
shikva sun aankh mila kar zalim
kyuun pashiman hua jaata hai
atish-e-shauq bujhi jaati hai
khaak arman hua jaata hai
uzr jaane men na kar ai qasid
tu bhi nadan hua jaata hai
muztarib kyuun na hon arman dil men
qaid mehman hua jaata hai
‘dagh’ khamosh na lag jaae nazar
sher divan hua jaata hai
Leave a Reply