duniya apni maut jald-az-jald mar jaane ko hai
ab ye Dhancha aisa lagta hai bikhar jaane ko hai
ain us dam neshtar le aati hain yaden tiri
zaḳhm tanha.i ka lagta hai ki bhar jaane ko hai
jaane vaale aur kuchh din sog karna hai tira
zehn-o-dil se phir ye nashsha bhi utar jaane ko hai
vaqt-e-ruḳhsat bad-gumani teri aisa ghaav thi
rafta rafta ab jo apna kaam kar jaane ko hai
ham haqiqat-ashna logon se kam milte hain log
un ko samjhao ye shiraza bikhar jaane ko hai
rut hua badlegi sab gul shaḳh par mar ja.enge
ab ye mausam ḳhushbuon ka par katar jaane ko hai
Leave a Reply