• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Main Bhi Kya Karta Ki Isko Bewafa Hona Hi Tha

Main Bhi Kya Karta Ki Isko Bewafa Hona Hi Tha

main bhi kya karta ki is ko bevafa hona hi tha

zindagi ko ek din mujh se juda hona hi tha

har dua ko mere haq men bad-dua hona hi tha

ab kisi se kya gila jo kuchh hua hona hi tha

apne be-ta.abir ḳhvabon ki jalan kis se kahun

is gulabi shahr ko atish-kada hona hi tha

phir bhi paani ki mujhe qimat ada karni paḌi

mere lab par tishnagi ka za.iqa hona hi tha

maut ke be-rahm hathon ko bahane ki talash

zindagi ke saath koi hadisa hona hi tha

main bahut hassas huun is men kisi ka kya qusur

aa.ina ban kar mujhe sang-ashna hona hi tha

main ne apne saare naḳhun kaaT Daale the magar

zaḳhm ko ‘ma.asum’ dobara hara hona hi tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Hazar Wade Kiye Hain Tumne Kabhi Kisi Ko Wafa Na Karna

azra-abbas

Is Zindagi Ke Badle

Be-Libasi Ku-Ba-Ku Aisi Na Thi

Bhes Kya Kya Na Zamane Mein Banae Humne

shakeel-badayuni

Unki Taswir dekh Kar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet